13 Jan 2017

Ishq Qatil se bhi, Maqtol se humdardi bhiYe bata kis se Muhabbat ki jaza maangy gaSajda Khaliq ko bhi, Iblees se yarana bhiHashr main kis se aqeedat ka sila mangy ga

parh parh kitabaan ilm diyaan toun naam rakh liya Qazihath wich pharr k talvaar naam rakh liya Ghazimaky madeeny ghoom aya ty naam rakh liya HajiO bhuliya hasil ki keeta? j tu rab na keeta razi

"Ghazal"
tery firaaq k lamhy beshumar  hue
bikhar gye tera intizaar karty hue

tumhain khbr hi nhi hai k koi toot gya
muhabbaton ko buht payedar krty ho

main muskurata hua aainy main ubhron ga
wo ro pary gi achanak singhar krty hue

wo keh rahi thi samundar nahi hai aakhain hain
main un main doob gya aitbaar krty hue

bhanwar jo mujh main pary hain wo main hi janta hun
tumhary hijr k darya ko paaaaar krty hue

WASI SHAH

DECEMBER kay Maheenay ka wo shayad "Aakhri" din thaBaras guzray kaii Main nay, Mohabbat Lafz likha thaKisi Kaghaz kay tukray per !Achanak yaad aaya haiBaras guzray kaii Mujh ko,  kisi say baat karni thiUsay kehna tha Jaan-e-Jaa'n!Mujhy tum say Mohabbat hai!Magar main keh nahi payaWo kaghaz aaj tak lipta para haiDhool mai Lekin..Kisi ko day nahi Paaya..Dobara chah kar bhi MainMohabbat kar nahi paaya!Mohabbat kar nahi paaya!

Wo ainy ko bhi herat main daal deta hai,,,

Kisi kisi ko khuda ye kamal deta hai ,,,,,,

"Ghazal"
Tumhare shehar ka Mausam bara suhana lage
Mein ik sham chura lon agar bura na lagay!
Jo doobna hai to itne sakoon se dubo
Keh aas pas ki lehron ko bhi patah na lage
Tumhare bas mein agar ho to bhool jao hamein
Tumhein bhulane mein shayad hamein zamana lage
Na jane kia hai kisi ki udas aankhon mein
Woh munh chupa ke bhi jaye to be wafa na lagay
Hamare pyar se jalne lagi hai ik dunya
Dua karo kisi dushman ki bad dua na lagay

بارش شراب عرش ہے یہ سوچ کر حسیب

 بارش کے  سب حروف کو الٹا کہ پی گئے 

10 Jan 2017

NASEER ULDIN SHAH NASEER

wo teri gali k tewar wo nazar nazar pe pehry
wo mera kisi banhany tujhy dekhty guzrna
"Kavita"

Bahut Dinon Ki Baat Hai
Fizaa Ko Yaad Bhi Nahin
Ye Baat Aaj Ki Nahin
Bahut Dinon Ki Baat Hai

Shabaab Par Bahaar Thi
Fizaa Bhi Khush-Gavaar Thi
Na Jaane Kyun Machal Parraa

Main Apane Ghar Se Chal Padaa
Kisi Ne Mujh Ko Rok Kar
Badi Adaa Se Tok Kar
Kahaa Thaa Laut Aaiye

Meri Qasam Na Jaaiye
Par Mujhe Khabar Na Thi
Maahaul Par Nazar Na Thi
Na Jaane Kyun Machal Padaa

Main Apane Ghar Se Chal Padaa
Main Shahar Se Phir Aa Gayaa
Khayaal Thaa Ke Paa Gayaa
Use Jo Mujhase Dur Thi

Magar Meri Zarur Thi
Aur Ik Hasin Shaam Ko
Main Chal Padaa Salaam Ko
Gali Kaa Rang Dekh Kar

Nai Tarang Dekh Kar
Mujhe Badi Khushi Hui
Main Kuchh Isi Khushi Mein Thaa
Kisi Ne Jhaank Kar Kahaa

Paraaye Ghar Se Jaaiye
Meri Qasam Na Aaiye
Vahi Hasin Shaam Hai
Bahaar Jis Kaa Naam Hai

Chalaa Hun Ghar Ko Chodakar
Na Jaane Jaaunga Kidhar
Koi Nahin Jo Tok Kar
Koi Nahin Jo Rok Kar

Kahe Ke Laut Aaiye
Meri Qasam Na Jaaiye
Meri Qasam Naa Jaaiye....!!!!

"Ghazal"

Koi puchy zara un say...

K dil jab mar gya hu to...

Kia tadfeen lazim hy???

Muhaly ki kisi masjid mn

kia elan wajib hy???

Koi puchy zra un say..

.Mohabat chorr dny pr

Dilon ko tor dny pr

Koi fatwa nhi lgta???

Ajb qanon hy sahib...!

Koi puchy zara un say.

.Mhbt es ko kehty hn???

Jo sab ko khtm krti hy...

dilon ko bhasm krti hy..

.Agr yhi mbht hyto phr 

esi.mhbt syTo apni be rukhi achi...

Agr ye hi mhbt hy..

To phr esi mhbt sy

To yaro mout hi achi...

                                               "Ghazal"

Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek dost hai kaccha pakka sa,
Ek jhooth hai aadha saccha sa.
 jazbaat ko dhake ek parda bas,
Ek bahana hai accha sa.

Jeevan ka ek aisa saathi hai,
Jo door ho ke pass nahin.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Hawa ka ek suhana jhonkha hai,
 Kabhi nazuk toh kabhi tufaano sa.
 Shakal dekh kar jo nazrein jhuka le,
Kabhi apna toh kabhi begaano sa.

Zindgi ka ek aisa humsafar,
Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai,
Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai.
  Yoon toh uske na hone ka kuch gham nahi,
 Par kabhi-kabhi aankho se ansoo ban ke beh jaata hai.

 Yoon rehta toh mere tassavur mein hai,
 Par in aankhoon ko uski talaash nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
 Tum keh dena koi khaas nahi……..

darta hun kehny se k muhabbat hai tum se
meri zindagi badal dy ga tera inkar bhi iqrar bhi
PARVEEN SHAKIR

koi raat mery aashina mujhy youn bhi to naseeb ho
na rahy khayal libaas ka wo itna mery qareeb ho

badan ki garam aanch se meri aarzo ko aag dy
mera josh behek uthay mera haal bhi ajeeb ho

tery chashni wujood ka sara rus main nichorr loun
phirr tou hi mera marz ho ot tu hi mera tabeeb ho
hum ne bhi aisy shakhs ko toot ker chaha hai
jisko bhulana mery bas main nahi or paana shayed qismat mn nahi
dena ho sath zindagi bhar ka dena
aye dost
lamhon ka sath to janaza uthany waly bhi dety hain
tum jesi haseen ankhon waly aaty hain jub sahil per
lehrain bhi shor machati hai lo aaj samunder dooby ga
PARWEEN SHAKIR
zamana roye ga barson humain bhi yaad kr k
ginyn gy sub humari khobiyaan jub hum na hongy
krna hai qubool to ker khamiyon samiat...
warna nawazish ki zarorat nahee mujhy
aye to youn k jesy hamesha thy mehrbaan
bholey to youn k goya kabhi aashna na thy
FAIZ AHMED FAIZ
FUNNY POETRY
tujhy yaad krty krty itni door nikal aye hain k
ab rasheed rakshy wala wapsi k do hazar maang raha hai
BABA BULHY SHAH
tasbeeh parhee makara wali , toun darhi keeti chiti
paraya maal eevain khada ee jeevain tarkari lagdi mthi
na toun mandr maseeti warya na qabar andheri dithi
khabar tadaan posi bulhiya jadaan mu ty aasi miti
hayee kitna acha lagta hai na jab muhabbat main koi kahy
Q krty ho kisi or se baat " main kaafi nahee aap k liye
joun joun pardy hat'ty ja rahy hain
log dil se utarty jaa rahy hain
udasi tum pe beety gi to tum b jaan jao gay
koi nazar andaaz karta hai to kitna dard hota hai
kahan talash karo gy, tum mujh jesa shakhs
jo tumhary sitam bhi sahy or tum se muhabbat bhi kry
kis baat pe rotha hai? pata ho to manaoon
wo rooth to jata hai, wazahat nahi karta 
jo aana chaho hazaar rasty na aana chaho to uzr hazaron
mizaaj barham taveel rasta barasti barish kharab mousam
tumhari baat ka main aitbaar to kr loun
magar ye umr nahee hai faraib khany ki
dharkanon ko bhi rasta dijiye sahib
aap to saary dil pe qabza kiye bethy hain
karty hain meri khamiyon ka tazkra is tarah
log apny aamal main farishta hon jesy

mujhy aaj bhi yaad hai !!
sardiyon ki aik shaam thi
us ne apny hathon main mera hath thama
or dheery se boli Ap k hath buht garam
hain or garam hath wafadaron ki nishani hoti hai
us din main buht khush tha , main ye bhi bhool gya
k us rat us k hath buht thandy thy ..
younhi mosam ki ada dekh k yaad aya hai
kis qadar jald badal jaty hain insaan jana
suna hai k buhat parhay likhay ho tum
kabhi wo b to parho jo hum keh nahi paaty
sar e toor ho sar e hashr ho
humain intizar qabool hai
wo kabhi milain, wo kaheen milain
wo kabhi sahee, wo kaheen sahi
tanhai behtar hai jhoothy logon se!!
main to fana ho gaya naqab main us ki aankhai dekh kr
naa jany wo shakhs roz kesy aina dekhta hoga
na badshah hon dilon ka,, na shair hon main lafzon ka
zuban bus sath deti hai main baatain dil se krta hun
peda rah e khuloos main dushwariya na kr
chahat nahee to hum se adakariyan na kr
wo samajhta hai k hr shakhs badal jata hai
usay lagta hai zamana us k jesa hai
youn to wo chaye bhi buht achi banati hai magar
mu banany main bhi, is ka koi saani naheeee
ik bosy se kya bigrta hai?
dil tujhy umer bhArr dua dy ga

hai ajeeb cheez ye sharafat bhi
is main 'sharr" bhi hai or "afat" bhi
dewaron k kaan hoty hai meri jaan
apny dil se itni baatain mat kiya kro
taskeen e muhabbat k faqat do hi tareeqy thy
ya dil na bana hota,, ya tum na bany hoty 
BARISH POETRY
jisy barish k pani main baha kr muskuraty thy
mujhy kaqhaz ki wo kashti zara phirr se bana dena
barbaad karny k or bhi rastyi thy FARAZ
najany unhain muhabbat ka hi khyal q aya
chalo tum sath mat dena
mujhy beshak bhula dena
naye sapne saja lena
naye rishty bana lena
bhula dena sabhi wady
sabhi qasmain sabhi naty
tumhain janan ijazat hai
jo dil chahy wo sab krna
magar ab tum kisi se bhi
adhora pyar mat krna
main tery milny ko muajza keh raha tha lekin
tery bicharny ka saniha bhi..... kamal guzra
youn ghalat bhi nahee hoty chehron k taa'sur lekin
log wesy hoty bhi nahee jesy nazar aaty hain
ishq main kya lutaiye
ishq main kya bachaiye
AAL E Nabi ny likh diya
sara nisaab rait per

chand nikla hai tery baad to youn lagta hai
mery aangan ka pata bhool gaya ho jesay
(MOHSIN NAQWI)
pathar k khuda, pathar k sanam,
 pathar k hi insaa paye hain,,,,,
tum shehr-e-muhabbat kehty ho
 hum jaan bacha kr aye hain,,,,
laakh karo koshish     ,,,,, lakh do hawaly
chorr hi jaty hain aakhir,, chorr jany waly
dushmani ghair to nahee karty
ye sharafat to yaar karty hain