13 Jan 2017

Ishq Qatil se bhi, Maqtol se humdardi bhiYe bata kis se Muhabbat ki jaza maangy gaSajda Khaliq ko bhi, Iblees se yarana bhiHashr main kis se aqeedat ka sila mangy ga

parh parh kitabaan ilm diyaan toun naam rakh liya Qazihath wich pharr k talvaar naam rakh liya Ghazimaky madeeny ghoom aya ty naam rakh liya HajiO bhuliya hasil ki keeta? j tu rab na keeta razi

"Ghazal"
tery firaaq k lamhy beshumar  hue
bikhar gye tera intizaar karty hue

tumhain khbr hi nhi hai k koi toot gya
muhabbaton ko buht payedar krty ho

main muskurata hua aainy main ubhron ga
wo ro pary gi achanak singhar krty hue

wo keh rahi thi samundar nahi hai aakhain hain
main un main doob gya aitbaar krty hue

bhanwar jo mujh main pary hain wo main hi janta hun
tumhary hijr k darya ko paaaaar krty hue

WASI SHAH

DECEMBER kay Maheenay ka wo shayad "Aakhri" din thaBaras guzray kaii Main nay, Mohabbat Lafz likha thaKisi Kaghaz kay tukray per !Achanak yaad aaya haiBaras guzray kaii Mujh ko,  kisi say baat karni thiUsay kehna tha Jaan-e-Jaa'n!Mujhy tum say Mohabbat hai!Magar main keh nahi payaWo kaghaz aaj tak lipta para haiDhool mai Lekin..Kisi ko day nahi Paaya..Dobara chah kar bhi MainMohabbat kar nahi paaya!Mohabbat kar nahi paaya!

Wo ainy ko bhi herat main daal deta hai,,,

Kisi kisi ko khuda ye kamal deta hai ,,,,,,

"Ghazal"
Tumhare shehar ka Mausam bara suhana lage
Mein ik sham chura lon agar bura na lagay!
Jo doobna hai to itne sakoon se dubo
Keh aas pas ki lehron ko bhi patah na lage
Tumhare bas mein agar ho to bhool jao hamein
Tumhein bhulane mein shayad hamein zamana lage
Na jane kia hai kisi ki udas aankhon mein
Woh munh chupa ke bhi jaye to be wafa na lagay
Hamare pyar se jalne lagi hai ik dunya
Dua karo kisi dushman ki bad dua na lagay

بارش شراب عرش ہے یہ سوچ کر حسیب

 بارش کے  سب حروف کو الٹا کہ پی گئے 

10 Jan 2017

NASEER ULDIN SHAH NASEER

wo teri gali k tewar wo nazar nazar pe pehry
wo mera kisi banhany tujhy dekhty guzrna
"Kavita"

Bahut Dinon Ki Baat Hai
Fizaa Ko Yaad Bhi Nahin
Ye Baat Aaj Ki Nahin
Bahut Dinon Ki Baat Hai

Shabaab Par Bahaar Thi
Fizaa Bhi Khush-Gavaar Thi
Na Jaane Kyun Machal Parraa

Main Apane Ghar Se Chal Padaa
Kisi Ne Mujh Ko Rok Kar
Badi Adaa Se Tok Kar
Kahaa Thaa Laut Aaiye

Meri Qasam Na Jaaiye
Par Mujhe Khabar Na Thi
Maahaul Par Nazar Na Thi
Na Jaane Kyun Machal Padaa

Main Apane Ghar Se Chal Padaa
Main Shahar Se Phir Aa Gayaa
Khayaal Thaa Ke Paa Gayaa
Use Jo Mujhase Dur Thi

Magar Meri Zarur Thi
Aur Ik Hasin Shaam Ko
Main Chal Padaa Salaam Ko
Gali Kaa Rang Dekh Kar

Nai Tarang Dekh Kar
Mujhe Badi Khushi Hui
Main Kuchh Isi Khushi Mein Thaa
Kisi Ne Jhaank Kar Kahaa

Paraaye Ghar Se Jaaiye
Meri Qasam Na Aaiye
Vahi Hasin Shaam Hai
Bahaar Jis Kaa Naam Hai

Chalaa Hun Ghar Ko Chodakar
Na Jaane Jaaunga Kidhar
Koi Nahin Jo Tok Kar
Koi Nahin Jo Rok Kar

Kahe Ke Laut Aaiye
Meri Qasam Na Jaaiye
Meri Qasam Naa Jaaiye....!!!!

"Ghazal"

Koi puchy zara un say...

K dil jab mar gya hu to...

Kia tadfeen lazim hy???

Muhaly ki kisi masjid mn

kia elan wajib hy???

Koi puchy zra un say..

.Mohabat chorr dny pr

Dilon ko tor dny pr

Koi fatwa nhi lgta???

Ajb qanon hy sahib...!

Koi puchy zara un say.

.Mhbt es ko kehty hn???

Jo sab ko khtm krti hy...

dilon ko bhasm krti hy..

.Agr yhi mbht hyto phr 

esi.mhbt syTo apni be rukhi achi...

Agr ye hi mhbt hy..

To phr esi mhbt sy

To yaro mout hi achi...

                                               "Ghazal"

Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek dost hai kaccha pakka sa,
Ek jhooth hai aadha saccha sa.
 jazbaat ko dhake ek parda bas,
Ek bahana hai accha sa.

Jeevan ka ek aisa saathi hai,
Jo door ho ke pass nahin.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Hawa ka ek suhana jhonkha hai,
 Kabhi nazuk toh kabhi tufaano sa.
 Shakal dekh kar jo nazrein jhuka le,
Kabhi apna toh kabhi begaano sa.

Zindgi ka ek aisa humsafar,
Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai,
Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai.
  Yoon toh uske na hone ka kuch gham nahi,
 Par kabhi-kabhi aankho se ansoo ban ke beh jaata hai.

 Yoon rehta toh mere tassavur mein hai,
 Par in aankhoon ko uski talaash nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
 Tum keh dena koi khaas nahi……..

darta hun kehny se k muhabbat hai tum se
meri zindagi badal dy ga tera inkar bhi iqrar bhi
PARVEEN SHAKIR

koi raat mery aashina mujhy youn bhi to naseeb ho
na rahy khayal libaas ka wo itna mery qareeb ho

badan ki garam aanch se meri aarzo ko aag dy
mera josh behek uthay mera haal bhi ajeeb ho

tery chashni wujood ka sara rus main nichorr loun
phirr tou hi mera marz ho ot tu hi mera tabeeb ho
hum ne bhi aisy shakhs ko toot ker chaha hai
jisko bhulana mery bas main nahi or paana shayed qismat mn nahi
dena ho sath zindagi bhar ka dena
aye dost
lamhon ka sath to janaza uthany waly bhi dety hain
tum jesi haseen ankhon waly aaty hain jub sahil per
lehrain bhi shor machati hai lo aaj samunder dooby ga
PARWEEN SHAKIR
zamana roye ga barson humain bhi yaad kr k
ginyn gy sub humari khobiyaan jub hum na hongy
krna hai qubool to ker khamiyon samiat...
warna nawazish ki zarorat nahee mujhy
aye to youn k jesy hamesha thy mehrbaan
bholey to youn k goya kabhi aashna na thy
FAIZ AHMED FAIZ